YouTube Se Paise Kamane Ka Aasan Tarika


YouTube Se Paise Kamane Ka Aasan Tarika

youtube se paise kamane ka tarika
youtube se paise kamane ka tarika
.


YouTube par video upload karna , aaj ka fassion ban gaya hai, koi saadi ho ya party ka video , log turant usko YouTube par upload karte hai.

YouTube par aapko harek tarike ka video aasani se milta hai, Hame jab bhi koi video dekhni hoti hai, to hm youtube par hi search karte hai. Iska mukhya karan hai, Ki YouTube Google ki company hai aur world famous hai. Youtube par rojana hazaro videos upload hote hai, jisse lakhon log dekhte hai.

YOU TUBE SE PAISA KAMAYE



YouTube se paisa kamana koi nayi baat nahi hai, Log Youtube par video upload karke lakhon rupaye kama rahe hai. Aap bhi youtube par video upload karke paise kama sakte hai.

Jab aap koi video Youtube par upload karte hai, Tab youtube aapko 'Monetisation' ka option deti hai, aap apne video ko monetise karke paise kama sakte hai.

Monetisation ka matlab hai:- Jab koi aapke video ko dekhega, Tab Ads show hoga, jisse aapke paise banenge.

Ye Ads mukhya 3 tarah ke hote hai.

1. Overlay Ads:- Isme transparent Ads aapke video ke niche taraf dikhayi deta hai. Jisse viewers chahe to cancel kar sakte hai.

2. Sponsored Cards:- Ye aise content dikhata hai jo aapke videos se milta ho, Ye kuch seconds ke liye hi dikhayi deta hai.

3. Skippable video Ads:- Ye aapke video par 5 seconds ke liye video Ads show karta hai, jisse aap video ke aage-piche kahi bhi set kar sakte hai.Viewers Ads ko 5 second ke baad hi skip (cancel) kar payenge. Adhiktar kamayi issi Ads se hoti hai.

Iske aur bhi types hai. Jaise:- Bumper Ads, Non skippable video ads .etc...

Ye bhi jane:-

*Blogging kya hai? blogging se paisa kaise kamate hai

*Data Entry job se paisa kamaye bina investment ke


YOUTUBE SE KITNE PAISE KAMA SAKTE HAI

Youtube se paise kamana bohot chijon par depend karta hai.

1. Views:- Aapke video ke jitne adhik viewers honge, utne adhik aapke paise banenge.

2. Ads Type:- Aap apne video par kaisa Ads aur kitne samay tak Ads show karte hai, ye bhi aachi income ke liye jaruri hota hai.

3. Popularity:- Aapke video ko log kitna pasand kar rahe hai, Yadi aapke channel ke adhik likes aur subscribers hai, to Company ke log aapse direct contact karenge, aur apne company ke ads ke liye aapko paise offer karenge. Jisse aapki aur bhi adhik income hogi.

YOUTUBE PAR KIS TARAH KA VIDEO UPLOAD KAR SAKTE HAI

Iss jankari ko aapko dhyan se padhna chahiye, Aap unhi video se paisa kama sakte hai, jise aapne khud  banaya ho. Aur yadi aap dusre ka video upload karte hai, Jaise movies ,songs, tv shows etc. to uss video ka aapke paas copyright license hona chahiye, Ya written permission hona chahiye , ki aap uske video se paisa kama rahe hai.

Yadi aapne kisi dusre ka video upload kiya aur monetise kiya to pehle to aapke channel main copyright strike hoga, Ye aapko 1 moka aur deti hai , Ye strike 2-3 mahino ke liye ho sakti hai, matlab 2-3 mahine me aap video delete kar dijiye ya video ka license le lijiye.

Aur yadi aap aisa nahi karte hai to aapke channel ko band kar diya jayega, Phir aapki mehnat barbad ho jayegi aur phir aap uss channel se paise nahi kama payenge..

Yadi aap video bana rahe hai, aur aapko song ki jarurat pad rahi hai, to uske liye YouTube ne Free Copyright Song  di hui hai, Aap isse apne video me daal sakte hai aur paise kama sakte hai.

YOUTUBE PAYMENT KAISE KARTI HAI

Youtube Ads Company ka 55% share aapko deti hai.

YouTube aapke video main Google Adsense dwara Ads dalti hai, jiski payment aap PayPal dwara le sakte hai.

YouTube aapko $100 hone par 60 dino ke ander payment karti hai.

Enjoy..............

Ye bhi jane:-
*Data Entry Job karne ke 5 bharosemand jagah aur website

*Camtasia Studio 8 free me use kare

*Sukanya Samriddhi Yojana in hindi new update

*Sharab ka nasha chudaye ayurveda se

Share this


EmoticonEmoticon