sbi account band kare |
Waise to SBI me nayi Jan Dhan account kholna to bahut aasan hai, Lakin usko band karne me thodi si aapko muskil ho sakti hai.
Log kyu Apna Sbi Jan dhan Account band karna chahte hai.
* Iski pehli wajah hai, iska khata transfer nahi hota.
*Aap ek din me 20,000 rupayon se adhik nahi nikal sakte, Aur ATM se 1 din me 10,000 se adhik nahi nikal sakte.
* Aapko ATM Ka pin milne me pareshani hoti hai. aur passbook bhi.
* Jan-Dhan Yojana ke branch me Agar aapko Branch se paise nikalne ho ,to aapko anguthe ki nisan deni padta hai.
* Sabse jaruri ki, aap iss se check ka paisa nahi nikal sakte.Aur 10,000 se adhik ka check to jama bhi nahi kar sakte.
Iske fayde kam aur nuksan jyada hai. Logon ne to bohot teji se khata to khol liya hai, Lakin usme paisa nahi dalte, Agar paisa dalte bhi hai, to kuch dino me jab unko pareshani hoti hai,to khata band karne ke liye Bank ka chakkar lagate hai.
Iske puri detail yaha padhe-
* PM Jan Dhan Yojana Hindi Me
JAN-DHAN ACCOUNT BAND KARE
Jan -Dhan Account band karne ke liye aapko 4 chijon ki jarurat padti hai.
1.Ek Application form- Jo maine niche likh diya hai.
2. Passbook aur Uska ek Zerox Copy.(Pehle page ka zerox jisme photo aur khata number rehta hai.)
3.ATM Card aur uska 1 Zerox Copy.
4. Revenue Card, (Jo aapko post office ya zerox ki dukan par milegi.)
Application Kaise Likhe.
Ab inn charon chijon ko lekar SBI ke Branch me jaiye aapka account band ho jayega.
Aur aapke account me jitne bhi paise honge aapko mil jayegi.
SAVING ACCOUNT BAND KARNE KE LIYE APPLICATION
Saving Account ko band karne ke liye bhi aapko inn 4 chijon ki jarurat padegi ,jisse maine uppar bataya hai . Inn charon chijon ko lekar aap Bank jaye. Aapka Acount band ho jayega .
Aur Aapke account me jitne bhi paise honge aapko mil jayegi.
Aur ek baat , yadi aapne jan dhan me apna account bana liya hai aur phir aap chahte hai ki usko band karke phir se Saving Account sbi me khole to aap ye kar sakte hai.
Aap pehle jan dhan account ko band kar le aur phir naya saving account khole.
*Jan Dhan Bank Account Transfer Kare Saving Account Me
Ye bhi jane:-
*All Bank Application in Hindi
*SBI Me Branch/Account Transfer Kaise Kare
*SBI Me Naya Account Kaise Khole
*SBI Internet Banking Ki Details in Hindi
*Buddhi Kaise Badhaye- Zero Se Hero Bane
Bhai maine sbi bank mai jan dhan wale mai account khulwaya tha aur mai sign bhul gya hun toh kaise pta chalega ki konse sign hai plzz kuch btao
जवाब देंहटाएंapna account number lekar branch me jaiye, waha bataiye ki mujhe mera sign dekhna hai,,,aur jan dhan me aasan hai kyunki wahan par aapka angutha lagta hai...
हटाएंAndhara bank account band keshe kare
जवाब देंहटाएंthank sir
जवाब देंहटाएंSir mera account jhan dhan waala hai aur Usme 20000 rs hai to kya agar Mai account band karwata hu to mere paise wasps mil jaayenge?
जवाब देंहटाएंHaa ji, account band hone par aapke paise wapas mil jayenge...
हटाएंGood
जवाब देंहटाएंSir hum syndicate bank account ko close kaise hoga mujhe application kaise likhna hai mujhe bataiye thank you
जवाब देंहटाएंsir mai passbook bhul gya or ac no bhi bhul gya kaise hoga mera paisa hai usme passbook kho gya
जवाब देंहटाएंKoi dikkat ki baat nahi hai...Aap apne branch me jaye aur kahe ki mujhe ek dublicate passbook chahiye , apna aadhar card lekar ke jaye...wo aapse Rs. 100 tak charge kar sakte hai....
जवाब देंहटाएंAapko dublicate passbook mil jayegi aur aap phir paise ki len den kar payenge...
Kya online bi acount close kra sakte h
जवाब देंहटाएंNahi, online close karenge to account ke paise wapas kaise lenge.
जवाब देंहटाएंAccount close karne par atm, passbook submit karna hota hai wo online kaise submit karenge...
asharma28416@gmail.com
जवाब देंहटाएं