payment without cash |
.
Bharat main jyadatar log cash ka hi istemaal karte hai, Chahe kisi ko mobile recharge karna ho, kisi dukan se saman kharidna ho, Electricity ka bill jama karna ho, yaa phir kisi ko paise bhejna ho.
Hamare bujurg keh gaye- Ki jo samay ke sath - sath chalta hai, wahi mahan kehlata hai. Aur aap to jante hi hai ki computer aur Internet kitni teji se duniya main fel rahe hai.
Aur aaj main aapko issi Internet ki ek khubi ke bare main bataunga , jisse ho sakta hai aapki zindagi aasan ho jaye.
Abhi tak bina cash ke payment karne ke mukhya 5 tarike hai.
1. Smartphone App
2. Credit Card
3. Internet Banking
4. Swipe Machine
5. Simple Mobile
1. SMARTPHONE APP SE ONLINE PAYMENT KARE
Aaj jab ki harek ke paas Smartphone hai, aur yadi kinhi ke paas nahi hai to fikra karne ki koi baat nahi hai unke liye bhi main tarika batane wala hoon. To chaliye ab jante hai ki apne Smartphone ko wallet kaise banaye.
Sabse pehle to aap apne Smartphone main Online Payment karne ka App download kar le.
Jaise - Paytm , Freecharge,
Ya jis bank main aapka account hai uska app download kar sakte hai. Jaise SBI main hai to SBI App download kar le.
Ya phir jis company ka sim aap use karte hai, uss company ka app bhi aap download kar sakte hai, Jaise Airtel ka use karte hai to Airtel Money App aap download kar sakte hai.
Aap ye sabhi app Google Play Store se muft main download kar sakte hai.
Ab chaliye jante hai ki ye app kaise kaam karti hai:-
Smartphone App aapke bank account se connect karti hai, Iske liye wah aapse bank account no./ATM Card No. , ATM No. ka expiry date, aur ATM ka Promo Code mangti hai (Promo code ATM Card main 3 digit ka no. hota hai ) .
Ye sab information dalne ke baad , jab aap Smartphone App se Payment karna chahenge, to ye aapke bank ke registered mobile no. per OTP No. bhejti hai, Uss OTP no. ko hame Smartphone App main dalna hota hai, Uske baad hamara Payment complete ho jata hai.
Ye jitna muskil dikhta hai, utna hai nahi. Aap 1 baar isko try kar lenge phir ye aapko sabse aasan lagne lagega.
Isse aap kisi ko paise dena chahte ho, kisi ka mobile recharge karna chahte ho, electricity bill, railway ticket, gas ka bill aur bhi internet se related sari chijen ghar baithe hi kar sakte hai.
2. CREDIT CARD SE PAYMENT KARE
Bharat main bohot kam log Credit Card ka istemaal karte hai, Lakin jarurat padne par yahi sabse jyada kaam deti hai.
Credit Card ATM Card ki tarah nahi hoti, Credit Card se aap apne bank main paise nahi rehne par bhi shopping kar sakte hai, jiska byaj aapko baad main bharna hota hai.
Credit Card se aap kisi wastu ko kisti main bhi kharid sakte hai. Jaise aapko 10,000 ka freeze lena hai, to aap usse 2000 ke kist main bhi le sakte hai.
3. INTERNET BANKING
Yadi aap kisi ko paise bhejna chahte ho, bank se loan lena chahte ho, aur bank main bhid ki wajah se ya kisi karan bank nahi jaa paa rahe ho, to aap Internet banking ka istemaal kar sakte hai.
Iske liye aapko bank jakar Internet banking ka form bharna hoga. Uske baad aap iska istemaal kar payenge.
4. SWIPE MACHINE
Swipe Machine business karne walon ke liye hai, Jo dukandaar hai , wo apne dukan main Swipe machine laga sakte hai. Jisse ki log uske dukan main aaye, aur grahak ke paas paise nahi ho to wah apne card se bhi payment kar sake.
Swipe Machine ki kimat bhi jyada nahi hai, Ye 1000-2000 ke range main aati hai.
Jab bhi koi Swipe Machine se payment karega to wah direct aapke bank account main chala jayega.
5. SIMPLE MOBILE
Yadi aapke paas, Smartphone nahi hai, Yaa aapke paas internet connection nahi hai, aur aapko kisi ko payment karni hai, jiska aapko bank account no. malum ho, to usse aap iss simple tarike se payment kar sakte hai.
1. Aapko apne mobile se *99# dial karna hai.
2. Apna bank chunna hai, Bank ka 3 digit name dalna hai jaise SBI, BOI .
3. Ab Account no. dalke payment karna hai.
To ye thi 5 mahatwapurn tarike jisse aap bina bank ke kisi dusre ko Payment kar sakte hai.
Aur ummid karta hoon ki ye jankari aapke liye faydemand sabit ho.
Ye bhi jane:-
*13 Types of online job without investment
*YouTube se lakhon rupaye kamaye
*Mobile se deleted no. aur files ki recovery kare
*Banjhpan door kare-Ayurveda
EmoticonEmoticon