तिरंगा झंडा का मतलब -Indian Flag Meaning Full Story
Namaskar doston aapka AnekRoop me swagat hai. Aaj hm apne Bharat desh ke dhwaj yani tirange jhande ke bare me baat karenge.
Hm baat karenge ki yah tiranga jhanda kisne aur kab banaya aur yah bhi baat karenge ki isme aakhir aisi kya khasiyat hai jo isse Bharat ka rastra dhwaj banaya gaya .
Tirange Jhande ko Bharat ki swatantrata se kuch din pehle 22 July 1947 ko aayojit Bharatiya sabha ki bethak me apnaya gaya tha.
Indian flag |
.
Iss jhande ke piche bhi ek majedaar kahani hai -
Andhra Pradesh ka ek wyakti Jiska naam Pingli Wenkeya (पिंगली वैंकेया ) tha wah Mahatma Gandhi se Vijay Wada me ek Congress ke satra me milta hai.
Aur wah apna banaya hua jhanda Gandhiji ko deta hai. Wah jhanda 2 rangon ka bana hua rehta hai, Kesariya aur Hara rang ka. Uss jhande ko dekhne ke baad Gandhi Ji kehte hai ki isme ek Safed Patti rastriya ki pragatti ka sanket dene ke liye aur ek charkha chalta hua hona chahiye tha.
Aur phir kuch samay baad waisa hi dhwaj bankar taiyar ho jata hai aur 1931 me ek prastav paas kiya jata hai aur iss dhwaj ko rastra dhwaj ghosit kar diya jata hai.
Lakin 22 July 1947 ko sanvidhan sabha , phir ek pher badal karti hai.We dhwaj me charkhe ke sthan par Samrat Ashoka ke Dharm chakra ko sthan deti hai.
Aur tab se yah tiranga jhanda hamare desh ka rastra dhwaj ban jata hai.
Ab iss Tirange jhande ke bare me aur jante hai, samajhte hai ki iss tirange jhande ka matlab kya hai?
Kesariya:- Tirange jhande me jo sabse upper kesariya rang hai, wah hai krantikari ka pratik.
Yah kesariya rang unn logon ka pratik hai jinhone apni desh ki raksha ke liye veer gati ko prapt ho gaye.
Yah kesariya rang unn logon ka pratik hai jinhone himmat aur sahas se angrejo ko khader -khader kar mara.
Safed:- Safed rang ka matlab hai Pavitrata.
Yah Bharat ki maan maryada ko dikhlati hai. Yahan ke niyam, tyohar , sanskriti ko darsati hai.Sari duniya yah baat janti hai ki jis prakar Bharat me pavitrata ko, Mataon , Behno ko maan diya jata hai , Waisa maan kahin kisi desh me nahi diya jata.
Hara:- Hara rang Bharat ki hariyali ko darshata hai. Yah rang Bharat ke kisano ko darsata hai. Yah bhi Bharat ke veer purush hi hai jo dharti Maa se sona upjakar sare desh wasiyon ka pet bharti hai.
Ashok Chakra:- Aur aant me aata hai Ashok Chakra. Chakrawarti Samrat Ashoka ko kaun nahi janta . Jinhone sampurn Bharat par rajya kiya . Samrat Ashok Prem, Sahisnuta, Satya , Ahinsak,aur Sakahari Jeevan pranali ke sacche samarthak the. Issiliye unka naam Paropkari Samrat ke roop me itihaas me darj hai.
Aur yahi wah karan hai ki Tirange me Ashoka ke Maurya chakra ko jagah di gayi hai. Jisse sabhi Ashok Chakra kehte hai.
Dharmik Najariya - Tiranga Jhanda Ka Matlab
Iss jhande ko dharmik najariye se bhi samajh sakte hai ki Jo kesariya hai wah hinduon ka pratik hai, Hara musalmano ka pratik hai aur Safed anya dharmo ka pratik hai.
Tirange Jhande Ka Asal Matlab
Ab tak jo jankari aapne padhi wah to thi jhande ke bahri tathyon ke bare me.
Lakin iss jhande ka andruni bhaw yah kehta hai
विश्व विजय करके दिखलावे तब होवे प्रण पूर्ण हमारा। झंडा ऊँचा रहे हमारा।
Yani sari duniya par vijay prapt karke tiranga jhanda lehraha.
Dhanyawad.
Yah bhi jane:-
*Lakshya Ko pura Karne Ka Aasan Tarika
*Kamiyabi Ka Rasta
*Depression in Hindi Bhagwat Geeta
*Feelings Kya Hai-Bhagwat geeta
EmoticonEmoticon